Hai thakan agar,
Zindagi ki shaql se,
Aa Baith.
.
Hai Khubsoorat agar, Nazaaron ki baat,
Aa Baith.
.
Hai baat agar,
Kisi ko saath lekar,
Aa Baith.
.
Hai chah Mausamon ki agar,
Sukoon se,
Aa Baith.
.
Hai Intezzar Agar,
Waqt ko guzaarne ke liye,
Aa Baith.
.
Ho akelapan agar,
Kisi aur ke liye,
Aa baith.
.
Main yahi hu,
Waqt ke saath,
Waqt ke baad,
Mere liye hi sahi,
Aa baith.